Tuesday, April 22, 2014
Thursday, April 17, 2014
Tuesday, April 15, 2014
bAnDagI kHuDa kI
Surkh hawayein thi, thand ki thi ek raat,
bas yu hi baitha hua kuch soch raha tha,
kya khoya kya paya maine is zindagi mein,
beete lamhe waqt ke taraju pe tol raha tha,
kabhi gum ka palda bhari to kabhi khusi ka,
kabhi gunaho ka bhari to kabhi duwayo ka,
tabhi ek aawaz gunji dil se, chhod in baato ko,
is waqt ko yu jaya na kar, laga ise bandagi me,
yu laga jaise khuda hi mujhse kuch bol rha tha
Monday, April 14, 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)



