Tuesday, July 23, 2019


पूरा हुआ एक और पड़ाव, एक और मक़ाम,
मैंने पूछा क्या यहीं रुकना है या चलना है?
न कुछ जवाब आया और न आई कोई सदा,
मैं देखता रहा राहगुजर के कुछ मुसाफिरों को, 
सोचा क्या पता कोई रहबर ही बन जाये,
लेकिन सब मसरूफ थे अपनी ही राह में, 
मैं भी रुका रहा, इधर उधर भटकता रहा, 
तभी एक अक्स दिखा जो मुझे बुला रहा था, 
पुरजोर खुद की ओर मुझे खींचे जा रहा था,
 मैं भी कम न था, अहम् में भी काफी दम था, 
लगा रहा चुम्बक से लोहे को अलग करने में,
लेकिन उस अक्स ने ऐसा तिलिस्म फैलाया,
मैं बहुत तेज से जाके एक आईने से टकराया,
चोट बहुत लगी और आइना चकनाचुर हुआ,
फिर कहीं जाके उससे मेरा इस्तेकबाल हुआ, 
मैंने फिर पूछा क्या यहीं रुकना है या चलना है?
मेरे अंदर के बाशिंदे ने कुछ यूँ फरमाया,
पड़ाव पे जो ठहर गया, मक़ाम पे जो रुक गया,
भला वो वाक़ई में क्या कभी मुसाफिर हुआ?

Friday, April 6, 2018

ajEeb inSaAn



Ye insaan bhi bada ajeeb hota hai
Jab kuch nahi hota to sab pana chahta hai

aur jab kuch pa leta hai to sab kuch khona

Fidrat aisi hai iski ki jab sab sath mein hote hai to unse door bhagta hai aur jab wo door hote hai to unke pas jaana chahta hai
Ye insaan bhi bada ajeeb hota hai
Jab pareshan hota hai to shukun chahta hai
Aur jab shukun ho to dhoondata hai kuch pareshaniyaan

Jab jawan hota hai to har cheej nayi chahiye
Aur jab umar dhalti hai to purani cheejo me khud ko dhoodhta hai
Ye insaan bhi bada ajeeb hota hai
Yu to bhagta rhta hai sari jindagi mustaqbil ke liye lekin hamesha mazi me hi khoya rhta hai
Ye insaan bhi bada ajeeb hota hai...

Monday, August 3, 2015

naqab-e-zamana


kal yu laga jaise ki hum bhi zamane ka hissa hain,
socha utha de ye naqab ki shayad aawam apna le,
khwaish aisi bhi hui ki khol de duniya pe sare raaz,
isi kasham-o-kash me the ki padi aaine pe ek nazar,
kora chehra dekh mahsoos hua ki yahi wo zamana hai,
jisne masoom se aawara banaya hume apnane ke liye,
jab zehan me aaya safar masoomiyat se aawaragi ka,
ehsaas hua ki ab ye mukhauta hi hamara zamana hai...




Sunday, January 11, 2015

diMaG kA fiToOr

ae khuda, tu jata hi deta hai ki main mehaz ek khilona hu
jab bhi sambhalta hai ye dil, tu phir hushn se milwa deta hai
milwana to thik hai, dil me ishq ki aag bhi jaga deta hai
phir aag ko bhadkane ke baad tu ise kuch yu bujha deta hai
ke dil to tootata hi hai, dimag me bhi fitoor uksa deta hai


Wednesday, November 19, 2014

AwaRagI kI bAndiSh

yu jakad rakha hai awaragi ne mujhe ki chhodati nahi
phir bhi roj phasata hu khud ko duniya ke dhakosalo mein.



Sunday, June 1, 2014

jIvAn kE iS chHaD mEin


Jivan ke is chhad mein, main jeena chahta hoon.
Khule gagan ke pankchhiyon sang udna chahta hoon.
Main jivanrupi pushp ke kapolo ko kholna chahta hoon.
Hridyarupi veena ke taro ko chhedna chahata hoon.
Sangit ke surmayi chandon ko padna chahta hoon.
Jivan ke is pal mein , main jeena chahta hoon.
Har kadvi se kadvi hala ko peena chahta hoon.
Khushiyon ko chodo, main gumo ke sath khelna chahta hoon.
Har chunauti ko harakar, vijayi hona chahta hoon.
Agar dum hai hasti mein toh, markar bhi amar hona chahta hoon.

Jivan ke is chhad mein, main jeena chahta hoon



Tuesday, April 22, 2014

aAwaRagI kE aagE

ae shab, tujhme wo kashish kaha, jo unke nigaho ke kajal me hai.
ae jhoke, tujhme wo masti kaha, jo unke kadamo ke aahat me hai.
yu to aawaragi ki panah mein shukun se basar ho rahi thi zindagi,
magar awaragi, tujhme wo bandish kaha jo unke adao me hai...